dekh kar KHud ko sanwarne ki ada tak le gaya

dekh kar KHud ko sanwarne ki ada tak le gaya
Abdul Haq Sahar Muzaffarnagari
MORE BYAbdul Haq Sahar Muzaffarnagari
dekh kar ḳhud ko sañvarne kī adā tak le gayā
chain kyā vo mere dil kā aa.ina tak le gayā
mai-kashī kā shauq rind-e-pārsā tak le gayā
hosh merā aaj ik mard-e-ḳhudā tak le gayā
bārhā dhoke meñ aayā phir bhī ye maanā nahīñ
bā-vafā dil khīñch kar us bā-vafā tak le gayā
mil gayā dil kī badaulat ik surāġh-e-zindagī
ajnabī thā jo mujhe ik āshnā tak le gayā
qissa-go kā ye hunar thā aañkh nam hone na dī
hañste hañste ibtidā se intihā tak le gayā
ruuTh kar aise gayā phir lauT kar aayā nahīñ
zindagī meñ jo maza thā vo maza tak le gayā
ik parinda roz āñgan meñ chahaktā thā magar
chhīn kar ḳhush-fahmiyoñ kā zā.iqa tak le gayā
ho ke vo māyūs lauTā hal nahīñ niklā koī
mas.ala jo rahzanoñ kā rahnumā tak le gayā
kyā gayā vo chhoḌ kar bazm-e-mohabbat ai 'sahar'
talḳh-o-shīrīñ guftugū kā zā.iqa tak le gayā
dekh kar KHud ko sanwarne ki ada tak le gaya
chain kya wo mere dil ka aaina tak le gaya
mai-kashi ka shauq rind-e-parsa tak le gaya
hosh mera aaj ek mard-e-KHuda tak le gaya
barha dhoke mein aaya phir bhi ye mana nahin
ba-wafa dil khinch kar us ba-wafa tak le gaya
mil gaya dil ki badaulat ek suragh-e-zindagi
ajnabi tha jo mujhe ek aashna tak le gaya
qissa-go ka ye hunar tha aankh nam hone na di
hanste hanste ibtida se intiha tak le gaya
ruTh kar aise gaya phir lauT kar aaya nahin
zindagi mein jo maza tha wo maza tak le gaya
ek parinda roz aangan mein chahakta tha magar
chhin kar KHush-fahmiyon ka zaiqa tak le gaya
ho ke wo mayus lauTa hal nahin nikla koi
masala jo rahzanon ka rahnuma tak le gaya
kya gaya wo chhoD kar bazm-e-mohabbat ai 'sahar'
talKH-o-shirin guftugu ka zaiqa tak le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.