dekh kar log kitna jalte hain
dekh kar log kitnā jalte haiñ
aap jab mere saath chalte haiñ
shaam hote hī merī palkoñ par
terī yādoñ ke diip jalte haiñ
ye javānī kā moḌ hai pyāre
achchhe achchhe yahīñ phisalte haiñ
ik zamāna thā vasl chāhiye thā
aur ab hijr ko machalte haiñ
us ke jaane pe roz rote the
us ke aane pe haath malte haiñ
shaam hote hī dard ke maare
mai-kadoñ kī taraf nikalte haiñ
aise to lāzmī hai barbādī
dostoñ ḳhud ko ab badalte haiñ
haa.e vo log kitne nādāñ haiñ
apne ḳhvāboñ ko jo kuchalte haiñ
dekh kar log kitna jalte hain
aap jab mere sath chalte hain
sham hote hi meri palkon par
teri yaadon ke dip jalte hain
ye jawani ka moD hai pyare
achchhe achchhe yahin phisalte hain
ek zamana tha wasl chahiye tha
aur ab hijr ko machalte hain
us ke jaane pe roz rote the
us ke aane pe hath malte hain
sham hote hi dard ke mare
mai-kadon ki taraf nikalte hain
aise to lazmi hai barbaadi
doston KHud ko ab badalte hain
hae wo log kitne nadan hain
apne KHwabon ko jo kuchalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.