dekh le KHak hai kase mein ki zar hai sain
dekh le ḳhaak hai kaase meñ ki zar hai sā.īñ
dast-e-dādār baḌā sho’bda-gar hai sā.īñ
tū mujhe us ke ḳham-o-pech batātā kyā hai
kū-e-qātil to mirī rāhguzar hai sā.īñ
shahr-o-sahrā to haiñ insānoñ ke rakkhe hue naam
ghar vahīñ hai dil-e-dīvāna jidhar hai sā.īñ
paañv kī fikr na kar bār-e-kam-o-besh utaar
asl zanjīr to sāmān-e-safar hai sā.īñ
shā'irī kaun karāmat hai magar kyā kiije
dard hai dil meñ so lafzoñ meñ asar hai sā.īñ
'ishq meñ kahte haiñ farhād ne kaaTā thā pahāḌ
ham ne din kaaT diye ye bhī hunar hai sā.īñ
dekh le KHak hai kase mein ki zar hai sain
dast-e-dadar baDa sho’bda-gar hai sain
tu mujhe us ke KHam-o-pech batata kya hai
ku-e-qatil to meri rahguzar hai sain
shahr-o-sahra to hain insanon ke rakkhe hue nam
ghar wahin hai dil-e-diwana jidhar hai sain
panw ki fikr na kar bar-e-kam-o-besh utar
asl zanjir to saman-e-safar hai sain
sha'iri kaun karamat hai magar kya kije
dard hai dil mein so lafzon mein asar hai sain
'ishq mein kahte hain farhad ne kaTa tha pahaD
hum ne din kaT diye ye bhi hunar hai sain
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 71)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.