dekhne wali jagah thi dekhne ka kaam tha
dekhne vaalī jagah thī dekhne kā kaam thā
sochtā huuñ mere jaisoñ kā vahāñ kyā kaam thā
maslahat thī yā thī majbūrī koī jaane ḳhudā
tham ga.e haiñ log vo bhī jin ko bahnā kaam thā
tum bhī jaane kaise kaise kaam karne lag ga.e
zindagī meñ aadmī ko ek ronā kaam thā
dam-ba-dam ham ko bhī ik vahshat ne rakkhā mubtalā
jis tarah farhād ko tesha-ba-tesha kaam thā
ik galī meñ ghūmte rahte the sārā-sārā din
kyā zamāna thā hameñ bhī kaisā-kaisā kaam thā
yuuñ hī phailāyā huā thā kārobār-e-ārzū
dar-haqīqat aadmī ko ik zarā sā kaam thā
manzileñ fursat kī mutaqāzī thiiñ aur ham tez-gām
jin ko 'sānī' 'umr-bhar rasta-ba-rasta kaam thā
dekhne wali jagah thi dekhne ka kaam tha
sochta hun mere jaison ka wahan kya kaam tha
maslahat thi ya thi majburi koi jaane KHuda
tham gae hain log wo bhi jin ko bahna kaam tha
tum bhi jaane kaise kaise kaam karne lag gae
zindagi mein aadmi ko ek rona kaam tha
dam-ba-dam hum ko bhi ek wahshat ne rakkha mubtala
jis tarah farhad ko tesha-ba-tesha kaam tha
ek gali mein ghumte rahte the sara-sara din
kya zamana tha hamein bhi kaisa-kaisa kaam tha
yun hi phailaya hua tha karobar-e-arzu
dar-haqiqat aadmi ko ek zara sa kaam tha
manzilen fursat ki mutaqazi thin aur hum tez-gam
jin ko 'sani' 'umr-bhar rasta-ba-rasta kaam tha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 36)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.