dekho mujhe bhi yaron KHushbu se main bana hun
dekho mujhe bhī yāroñ ḳhushbū se maiñ banā huuñ
maiñ jab bhī boltā huuñ urdu hī boltā huuñ
pardesiyoñ kā ġham bhī pardesī jānte haiñ
barsoñ kī ranjishoñ ko ik maiñ hī jāntā huuñ
chāhat vatan kī hai phir īmān bhī hai merā
hindostāñ kī miTTī meñ marnā chāhtā huuñ
parkhā sabhī ko maiñ ne koī nahīñ hai merā
ġhairoñ kī chhoḌo maiñ to apnoñ meñ baT chukā huuñ
dhūpoñ kī tez lau meñ jaltā rahā huuñ pal pal
bādal bhī mere haq meñ barse ye chāhtā huuñ
ḳhāmoshī ko tū merī kamzorī mat samajhnā
tūfān se akelā maiñ laḌnā jāntā huuñ
dekho mujhe bhi yaron KHushbu se main bana hun
main jab bhi bolta hun urdu hi bolta hun
pardesiyon ka gham bhi pardesi jaante hain
barson ki ranjishon ko ek main hi jaanta hun
chahat watan ki hai phir iman bhi hai mera
hindostan ki miTTi mein marna chahta hun
parkha sabhi ko main ne koi nahin hai mera
ghairon ki chhoDo main to apnon mein baT chuka hun
dhupon ki tez lau mein jalta raha hun pal pal
baadal bhi mere haq mein barse ye chahta hun
KHamoshi ko tu meri kamzori mat samajhna
tufan se akela main laDna jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.