dekhun tujhe main jab bhi to pur-malal dekhun

dekhun tujhe main jab bhi to pur-malal dekhun
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
dekhūñ tujhe maiñ jab bhī to pur-malāl dekhūñ
tujh be-ḳhayāl ko bhī mahv-e-ḳhayāl dekhūñ
āñkhoñ se sochtā huuñ aur chhū ke dekhtā huuñ
us ḳhvāb-e-ḳhvāb ko maiñ kaisā kamāl dekhūñ
kohsār se utartī nadiyoñ sā haal merā
ab kyā 'urūj sochūñ aur kyā zavāl dekhūñ
aayā hai yak-ba-yak ye kaisā ḳhayāl mujh ko
vo bhī javāb dekhe gar maiñ savāl dekhūñ
rokūñ use maiñ kyūñkar jaa.e to jā rahe vo
vo hijr dekhtā hai aur maiñ visāl dekhūñ
kis darja chāhte haiñ jaañ mujh pe vārte haiñ
ye log jin ko 'sānī' maiñ ik vabāl dekhūñ
dekhun tujhe main jab bhi to pur-malal dekhun
tujh be-KHayal ko bhi mahw-e-KHayal dekhun
aankhon se sochta hun aur chhu ke dekhta hun
us KHwab-e-KHwab ko main kaisa kamal dekhun
kohsar se utarti nadiyon sa haal mera
ab kya 'uruj sochun aur kya zawal dekhun
aaya hai yak-ba-yak ye kaisa KHayal mujh ko
wo bhi jawab dekhe gar main sawal dekhun
rokun use main kyunkar jae to ja rahe wo
wo hijr dekhta hai aur main visal dekhun
kis darja chahte hain jaan mujh pe warte hain
ye log jin ko 'sani' main ek wabaal dekhun
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 44)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.