der se apne apne ghere mein
der se apne apne ghere meñ
log baiThe hue haiñ raste meñ
ek gāhak thā vo bhī chhoḌ gayā
ab rakheñge dukān akele meñ
maiñ ne piñjra to toḌ Daalā magar
fāḳhta aa ga.ī lapeTe meñ
biin bajte hī ek aur nāgin
nāchne lagtī hai sapere meñ
us ke qadmoñ meñ Daal pahlā phuul
jis ne miTTī bharī thī gamle meñ
ghar meñ ik aa.ina bhī hotā thā
bas vahī DhūñDtā huuñ malbe meñ
bachche-bachche ko kar rahā huuñ salām
us ke kūche ke pahle phere meñ
ek machhlī jo ret par taḌpī
jaan sī paḌ ga.ī machhere meñ
der se apne apne ghere mein
log baiThe hue hain raste mein
ek gahak tha wo bhi chhoD gaya
ab rakhenge dukan akele mein
main ne pinjra to toD Dala magar
faKHta aa gai lapeTe mein
bin bajte hi ek aur nagin
nachne lagti hai sapere mein
us ke qadmon mein Dal pahla phul
jis ne miTTi bhari thi gamle mein
ghar mein ek aaina bhi hota tha
bas wahi DhunDta hun malbe mein
bachche-bachche ko kar raha hun salam
us ke kuche ke pahle phere mein
ek machhli jo ret par taDpi
jaan si paD gai machhere mein
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 114)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.