der se jaane kahan khoya hua hai tu bhi
der se jaane kahāñ khoyā huā hai tū bhī
yuuñ lage merī tarah soch rahā hai tū bhī
be-ishāra to nahīñ chāk-e-garebāñ merā
merī vahshat meñ mire saath rahā hai tū bhī
maiñ huuñ ehsās ke tā’mīr-shuda zindāñ meñ
kuchh ḳhalāoñ meñ magar DhūñD rahā hai tū bhī
apnā lahja mirī ġhazloñ meñ samone vaale
merī āvāz meñ ḳhud naġhma-sarā hai tū bhī
koī dhuñdlī sī bhī tasvīr nahīñ āñkhoñ meñ
jaise TuuTā huā paimān-e-vafā hai tū bhī
dil dhaḌaktā hai to har shab ye gumāñ hotā hai
maiñ to soyā hī nahīñ jaag rahā hai tū bhī
ham 'sirāj' aas meñ jalte haiñ havā kī zad par
raat añdherī hī sahī aa to rahā hai tū bhī
der se jaane kahan khoya hua hai tu bhi
yun lage meri tarah soch raha hai tu bhi
be-ishaara to nahin chaak-e-gareban mera
meri wahshat mein mere sath raha hai tu bhi
main hun ehsas ke ta’mir-shuda zindan mein
kuchh KHalaon mein magar DhunD raha hai tu bhi
apna lahja meri ghazlon mein samone wale
meri aawaz mein KHud naghma-sara hai tu bhi
koi dhundli si bhi taswir nahin aankhon mein
jaise TuTa hua paiman-e-wafa hai tu bhi
dil dhaDakta hai to har shab ye guman hota hai
main to soya hi nahin jag raha hai tu bhi
hum 'siraj' aas mein jalte hain hawa ki zad par
raat andheri hi sahi aa to raha hai tu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.