Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDa den hum log

Shayar Jamali

dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDa den hum log

Shayar Jamali

MORE BYShayar Jamali

    dhajjiyāñ jaib-o-garebāñ uḌā deñ ham log

    aa.iye fasl-e-bahārāñ pata deñ ham log

    jis ke saa.e meñ ta.assub tapish shāmil ho

    vaqt kahtā hai vo dīvār girā deñ ham log

    dekheñ phir kaise miTāte haiñ miTāne vaale

    ek ik shāḳh nasheman se sajā deñ ham log

    aur agar ho na sake kuchh bhī ujāloñ sabīl

    ik charāġh apne lahū se jalā deñ ham log

    un sahbā meñ nasha hai na nigāhoñ meñ surūr

    aao mahfil meñ ye afvāh uḌā deñ ham log

    yuuñ bhī kaT sakte haiñ ye tishna-labī ke lamhāt

    baiTh kar bazm meñ saaqī ko duā deñ ham log

    sang-e-taḳhrīb vus.at ko kareñ yuuñ mahdūd

    ik mahal shahr meñ shīshe banā deñ ham log

    dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDa den hum log

    aaiye fasl-e-bahaaran ka pata den hum log

    jis ke sae mein tassub ki tapish shamil ho

    waqt kahta hai wo diwar gira den hum log

    dekhen phir kaise miTate hain miTane wale

    ek ek shaKH nasheman se saja den hum log

    aur agar ho na sake kuchh bhi ujalon ki sabil

    ek charagh apne lahu se hi jala den hum log

    un ki sahba mein nasha hai na nigahon mein surur

    aao mahfil mein ye afwah uDa den hum log

    yun bhi kaT sakte hain ye tishna-labi ke lamhat

    baiTh kar bazm mein saqi ko dua den hum log

    sang-e-taKHrib ki wusat ko karen yun mahdud

    ek mahal shahr mein shishe ka bana den hum log

    Source:

    Saheefa (Pg. 25)

    • Author: Shayar Jamali
      • Publisher: Shayar Jamali
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now