Dhalwan pe chalne ka hunar sikh liya hai
Dhalvān pe chalne kā hunar siikh liyā hai
gir gir ke sañbhalne kā hunar siikh liyā hai
barfīle pahāḌoñ ke safar par to chale ho
kyā tum ne phisalne kā hunar siikh liyā hai
āsān nahīñ phone pe pahchānñā us ne
āvāz badalne kā hunar siikh liyā hai
har rang kā ik daaġh lagā hai mujhe lekin
har aag meñ jalne kā hunar siikh liyā hai
tanhā.ī mire jism meñ rah jā.egī 'āsim'
saa.e ne nikalne kā hunar siikh liyā hai
Dhalwan pe chalne ka hunar sikh liya hai
gir gir ke sanbhalne ka hunar sikh liya hai
barfile pahaDon ke safar par to chale ho
kya tum ne phisalne ka hunar sikh liya hai
aasan nahin phone pe pahchanna us ne
aawaz badalne ka hunar sikh liya hai
har rang ka ek dagh laga hai mujhe lekin
har aag mein jalne ka hunar sikh liya hai
tanhai mere jism mein rah jaegi 'asim'
sae ne nikalne ka hunar sikh liya hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 67)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.