Dheh gae ret ke ghar phir se banaen aao
Dheh ga.e ret ke ghar phir se banā.eñ aao
dil meñ ta.amīr kā ehsās jagā.eñ aao
ham bhī dīvāroñ pe chaḌhtī huī beloñ kī tarah
āsmānoñ kī taraf haath baḌhā.eñ aao
jaise ākāsh ko tāroñ ne sajā rakkhā hai
ham bhī dhartī ko isī tarah sajā.eñ aao
ham ko in hāthoñ se likhnā hai muqaddar apnā
in kī be-jān lakīroñ pe na jaa.eñ aao
raushnī kam hai abhī apnā lahū de de ke
sham.a-e-īsār kī lau aur baḌhā.eñ aao
gā rahā hai jo mohabbat kā tarāna 'ashfāq'
us kī āvāz meñ āvāz milā.eñ aao
Dheh gae ret ke ghar phir se banaen aao
dil mein tamir ka ehsas jagaen aao
hum bhi diwaron pe chaDhti hui belon ki tarah
aasmanon ki taraf hath baDhaen aao
jaise aakash ko taron ne saja rakkha hai
hum bhi dharti ko isi tarah sajaen aao
hum ko in hathon se likhna hai muqaddar apna
in ki be-jaan lakiron pe na jaen aao
raushni kam hai abhi apna lahu de de ke
shama-e-isar ki lau aur baDhaen aao
ga raha hai jo mohabbat ka tarana 'ashfaq'
us ki aawaz mein aawaz milaen aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.