dhire dhire jise is dil mein basaya maine
dhire dhire jise is dil mein basaya maine
Asma Mohammad Shahid Khan
MORE BYAsma Mohammad Shahid Khan
dhīre dhīre jise is dil meñ basāyā maiñ ne
us kī ḳhushbū ko zamāne se churāyā maiñ ne
sochtī huuñ ki zamāne ke havāle kar duuñ
muddatoñ se jise duniyā se chhupāyā maiñ ne
ek āvāz pe dauḌā huā aa jā.egā
mujh ko mā'lūm thā phir bhī na bulāyā maiñ ne
chāñd tāroñ se jo āñchal ko sajā detā thā
dil-e-nādāñ use kitnā hī rulāyā maiñ ne
ye mohabbat hai jo har dard ko sah letī hai
apnī hastī ko bhī is raah pe laayā maiñ ne
'umr bhar us ke liye dard sahā kuchh na kahā
us ke jazbāt ko palkoñ pe uThāyā maiñ ne
merī tanhā.ī ne māñgī thī du'ā.eñ 'asmā'
phir charāġh-e-ġham-e-hijrāñ ko jalāyā maiñ ne
dhire dhire jise is dil mein basaya main ne
us ki KHushbu ko zamane se churaya main ne
sochti hun ki zamane ke hawale kar dun
muddaton se jise duniya se chhupaya main ne
ek aawaz pe dauDa hua aa jaega
mujh ko ma'lum tha phir bhi na bulaya main ne
chand taron se jo aanchal ko saja deta tha
dil-e-nadan use kitna hi rulaya main ne
ye mohabbat hai jo har dard ko sah leti hai
apni hasti ko bhi is rah pe laya main ne
'umr bhar us ke liye dard saha kuchh na kaha
us ke jazbaat ko palkon pe uThaya main ne
meri tanhai ne mangi thi du'aen 'asma'
phir charagh-e-gham-e-hijran ko jalaya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.