Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dho gai chehron se gard yas ka ghaza hawa

Mahendra Partap Chand

dho gai chehron se gard yas ka ghaza hawa

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    dho ga.ī chehroñ se gard yaas ġhāza havā

    kar ga.ī afsurda rūhoñ ko tar-o-tāza havā

    laakh baiThūñ chhup kar apne band kamroñ meñ magar

    toḌ kar aa jā.egī ek ek darvāza havā

    sub.h āñchal havā de kar khilātī hai jise

    shab ko bikhrātī hai ḳhud us gil shīrāza havā

    bhar chale the zaḳhm jo phir se lage muñh kholne

    kuchh purāne dard le kar aa.ī hai taaza havā

    tarastā hai phir un lamhoñ ko jab yakjā the sab

    raqs-e-mai bū-e-saman rañg-e-shafaq taaza havā

    ham to apnī ḳhāna-vīrānī mātam kar chuke

    dekh kar kar ab koī aur darvāza havā

    vo latāfat vo mahak kyuuñ 'chāñd' yaksar kho ga.ī

    bhar rahī hai kin ḳhatāoñ ye ḳhamyāza havā

    dho gai chehron se gard yas ka ghaza hawa

    kar gai afsurda ruhon ko tar-o-taza hawa

    lakh baiThun chhup kar apne band kamron mein magar

    toD kar aa jaegi ek ek darwaza hawa

    subh aanchal ki hawa de kar khilati hai jise

    shab ko bikhraati hai KHud us gil ka shiraaza hawa

    bhar chale the zaKHm jo phir se lage munh kholne

    kuchh purane dard le kar aai hai taza hawa

    ji tarasta hai phir un lamhon ko jab yakja the sab

    raqs-e-mai bu-e-saman rang-e-shafaq taza hawa

    hum to apni KHana-virani ka matam kar chuke

    dekh kar ja kar ab tu koi aur darwaza hawa

    wo latafat wo mahak kyun 'chand' yaksar kho gai

    bhar rahi hai kin KHataon ka ye KHamyaza hawa

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 781)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now