dhundli samton mein agar kunj ka par mil jae
dhuñdlī samtoñ meñ agar kuuñj kā par mil jaa.e
phir to ai dar-badarī mujh ko bhī ghar mil jaa.e
aur hī rang meñ ho barg-o-samar kā honā
jis kī ḳhvāhish hai mujhe vo bhī agar mil jaa.e
muntazir jis kā huuñ vo aa.e zarūrī to nahīñ
ye bhī mumkin hai koī aur ḳhabar mil jaa.e
ḳhāk-o-ḳhvāb ek hī thailī ke haiñ chaTTe-baTTe
dil kī marzī hai jidhar chāhe udhar mil jaa.e
ehtimām aisā ho fursat ke dinoñ meñ dil kā
ek Dar ḳhatm ho aur dūsrā Dar mil jaa.e
is tarah se na guzārūñgā yaqīnan tujh ko
zindagī tū jo mujhe bār-e-digar mil jaa.e
dhundli samton mein agar kunj ka par mil jae
phir to ai dar-badari mujh ko bhi ghar mil jae
aur hi rang mein ho barg-o-samar ka hona
jis ki KHwahish hai mujhe wo bhi agar mil jae
muntazir jis ka hun wo aae zaruri to nahin
ye bhi mumkin hai koi aur KHabar mil jae
KHak-o-KHwab ek hi thaili ke hain chaTTe-baTTe
dil ki marzi hai jidhar chahe udhar mil jae
ehtimam aisa ho fursat ke dinon mein dil ka
ek Dar KHatm ho aur dusra Dar mil jae
is tarah se na guzarunga yaqinan tujh ko
zindagi tu jo mujhe bar-e-digar mil jae
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 82)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.