dhup is par ki us par banane ke liye
dhuup is paar kī us paar banāne ke liye
rah meñ ik din hai lagātār banāne ke liye
kitnī āñkheñ haiñ jo ḳhāmosh ḳhalal Dāltī haiñ
merī āvāz ko bekār banāne ke liye
koī shai aur bhī hotī hai ki bas hotī hai
ghar hī kaafī nahīñ ghar-bār banāne ke liye
chalte chalte yuñhī ik baar palaT kar dekhā
ḳhud ko tārīḳh kā haqdār banāne ke liye
hameñ kyā kyā nahīñ phirnā paḌā andar bāhar
apne inkār ko inkār banāne ke liye
dhup is par ki us par banane ke liye
rah mein ek din hai lagatar banane ke liye
kitni aankhen hain jo KHamosh KHalal Dalti hain
meri aawaz ko bekar banane ke liye
koi shai aur bhi hoti hai ki bas hoti hai
ghar hi kafi nahin ghar-bar banane ke liye
chalte chalte yunhi ek bar palaT kar dekha
KHud ko tariKH ka haqdar banane ke liye
hamein kya kya nahin phirna paDa andar bahar
apne inkar ko inkar banane ke liye
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 119)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.