dhup mein qatra-e-shabnam ko taras jaoge
dhuup meñ qatra-e-shabnam ko taras jāoge
shahr meñ gaañv ke mausam ko taras jāoge
zaḳhm itne tumheñ āvāra-mizājī degī
gardish-e-vaqt ke marham ko taras jāoge
din meñ jugnū kī tabāhī pe manā lo ḳhushiyāñ
shab meñ chamkegā to mātam ko taras jāoge
zindagī se kabhī ārām talab mat karnā
dosto mehnat-e-paiham ko taras jāoge
ādamiyyat ke libāde meñ raho tum varna
ek din nisbat-e-ādam ko taras jāoge
aaj āsānī se miltā huuñ to mil lo varna
dekhne ke liye 'ālam' ko taras jāoge
dhup mein qatra-e-shabnam ko taras jaoge
shahr mein ganw ke mausam ko taras jaoge
zaKHm itne tumhein aawara-mizaji degi
gardish-e-waqt ke marham ko taras jaoge
din mein jugnu ki tabahi pe mana lo KHushiyan
shab mein chamkega to matam ko taras jaoge
zindagi se kabhi aaram talab mat karna
dosto mehnat-e-paiham ko taras jaoge
aadamiyyat ke libaade mein raho tum warna
ek din nisbat-e-adam ko taras jaoge
aaj aasani se milta hun to mil lo warna
dekhne ke liye 'alam' ko taras jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.