dhup mein tapta musafir pyas ka hal dekhta
dhuup meñ taptā musāfir pyaas kā hal dekhtā
kab use fursat thī ki aage kā daldal dekhtā
kitne dhāge minnatoñ ke bāñdhe haiñ tere liye
tū kabhī aatā mire gaaoñ kā pīpal dekhtā
sāmne baiThā huuñ us ke sar jhukā.e sharm se
kahtā thā tum paas hotī to musalsal dekhtā
uḌ ga.e haiñ hosh nāḳhun dekh us ke pair kā
kyā hī merā hashr hotā gar mukammal dekhtā
ab savārī par huuñ aayā huuñ chalā bhī jā.ūñgā
vo agar hotī to ye mela maiñ paidal dekhtā
gar mirī jogan pe pābandī na hotī dahr meñ
mornī jab raqs kartī saarā jangal dekhtā
dhup mein tapta musafir pyas ka hal dekhta
kab use fursat thi ki aage ka daldal dekhta
kitne dhage minnaton ke bandhe hain tere liye
tu kabhi aata mere gaon ka pipal dekhta
samne baiTha hun us ke sar jhukae sharm se
kahta tha tum pas hoti to musalsal dekhta
uD gae hain hosh naKHun dekh us ke pair ka
kya hi mera hashr hota gar mukammal dekhta
ab sawari par hun aaya hun chala bhi jaunga
wo agar hoti to ye mela main paidal dekhta
gar meri jogan pe pabandi na hoti dahr mein
morni jab raqs karti sara jangal dekhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.