diwar-e-KHwab mein koi dar kar nahin sake
dīvār-e-ḳhvāb meñ koī dar kar nahīñ sake
ham log shab se aage safar kar nahīñ sake
ik shaam ke chale hue pahuñche miyān-e-shab
bhaTke kuchh is tarah ki sahar kar nahīñ sake
shāyad abhī rihā.ī nahīñ chāhte the ham
so us ko apnī koī ḳhabar kar nahīñ sake
ham kār-e-zindagī kī tarah kār-e-'āshiqī
karnā to chāhte the magar kar nahīñ sake
āñkhoñ pe kis ke ḳhvāb kā parda paḌā rahā
ham chaah kar bhī ḳhud pe nazar kar nahīñ sake
tum se bhī pahle kitnoñ ne khaa.ī yahāñ shikast
duniyā ko fat.h tum bhī agar kar nahīñ sake
diwar-e-KHwab mein koi dar kar nahin sake
hum log shab se aage safar kar nahin sake
ek sham ke chale hue pahunche miyan-e-shab
bhaTke kuchh is tarah ki sahar kar nahin sake
shayad abhi rihai nahin chahte the hum
so us ko apni koi KHabar kar nahin sake
hum kar-e-zindagi ki tarah kar-e-'ashiqi
karna to chahte the magar kar nahin sake
aankhon pe kis ke KHwab ka parda paDa raha
hum chah kar bhi KHud pe nazar kar nahin sake
tum se bhi pahle kitnon ne khai yahan shikast
duniya ko fath tum bhi agar kar nahin sake
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 99)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.