diwar ke pichhe nahin diwar ke andar hun main
dīvār ke pīchhe nahīñ dīvār ke andar huuñ maiñ
jis ġhaar ke bāhar ho tum us ġhaar ke andar huuñ maiñ
maujūdgī āḳhir ko nā-maujūdgī sābit huī
kuchh din ġhalat samjhā gayā bāzār ke andar huuñ maiñ
ab har qadam ik shor huuñ machtā huā sar-band shor
ab har tarah rang-o-ram-o-raftār ke andar huuñ maiñ
ā'māl dekhūñ to tire maidāñ se bāhar bhaag jā.ūñ
ahvāl dekhā hai so tere vaar ke andar huuñ maiñ
takrār aapas meñ ye din aur raat karte haiñ kareñ
takrār meñ kyā daḳhl duuñ takrār ke andar huuñ maiñ
is ḳhaak kā pīchhā na chhoḌ is ḳhuun kā dāman nichoḌ
talvār se bāhar bulā talvār ke andar huuñ maiñ
kuchh kuchh ye sar aur paañv bāhar haiñ so in kī fikr hai
baaqī kā saarā is garebāñ-zār ke andar huuñ maiñ
diwar ke pichhe nahin diwar ke andar hun main
jis ghaar ke bahar ho tum us ghaar ke andar hun main
maujudgi aaKHir ko na-maujudgi sabit hui
kuchh din ghalat samjha gaya bazar ke andar hun main
ab har qadam ek shor hun machta hua sar-band shor
ab har tarah rang-o-ram-o-raftar ke andar hun main
aa'mal dekhun to tere maidan se bahar bhag jaun
ahwal dekha hai so tere war ke andar hun main
takrar aapas mein ye din aur raat karte hain karen
takrar mein kya daKHl dun takrar ke andar hun main
is KHak ka pichha na chhoD is KHun ka daman nichoD
talwar se bahar bula talwar ke andar hun main
kuchh kuchh ye sar aur panw bahar hain so in ki fikr hai
baqi ka sara is gareban-zar ke andar hun main
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 98)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.