dil aur mere KHun ka dauran ghazal hai
dil aur mire ḳhuun kā daurān ġhazal hai
har saañs tavāzun hai ki mīzān ġhazal hai
mujh pe haiñ ka.ī aur 'ināyāt bhī lekin
ilhām ke mālik tirā ehsān ġhazal hai
is vaqt mujhe raqs kī tarġhīb milī hai
is vaqt mire vajd kā imkān ġhazal hai
Tapkegā lahū lafz koī chiir ke dekho
tum log samajhte ho ki be-jān ġhazal hai
hai josh magar dil meñ talātum hai bahut kam
is bahr meñ simTā huā tūfān ġhazal hai
maiñ 'ishq meñ rāhat ke tasavvur se huuñ vāqif
bechain mirā dil hai mirā dhyān ġhazal hai
vaise to ka.ī aur ta'āruf bhī haiñ 'āsim'
har bazm-e-suḳhan meñ mirī pahchān ġhazal hai
dil aur mere KHun ka dauran ghazal hai
har sans tawazun hai ki mizan ghazal hai
mujh pe hain kai aur 'inayat bhi lekin
ilham ke malik tera ehsan ghazal hai
is waqt mujhe raqs ki targhib mili hai
is waqt mere wajd ka imkan ghazal hai
Tapkega lahu lafz koi chir ke dekho
tum log samajhte ho ki be-jaan ghazal hai
hai josh magar dil mein talatum hai bahut kam
is bahr mein simTa hua tufan ghazal hai
main 'ishq mein rahat ke tasawwur se hun waqif
bechain mera dil hai mera dhyan ghazal hai
waise to kai aur ta'aruf bhi hain 'asim'
har bazm-e-suKHan mein meri pahchan ghazal hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 22)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.