dil bech ke jo humne mohabbat KHarid li
dil bech ke jo ham ne mohabbat ḳharīd lī
ab sochte haiñ kyā ye musībat ḳharīd lī
ai 'ishq jab se rakkhā tire dasht meñ qadam
'izzat gañvā.ī aur malāmat ḳharīd lī
sab yaad tujh ko karte haiñ majnūñ ke naam se
ai qais tū ne kaisī ye shohrat ḳharīd lī
badle meñ ek daane ke jannat ko chhoḌ kar
duniyā kī chaar din kī sukūnat ḳharīd lī
un kī tapish ne aur bhī jhulsā ke rakh diyā
jab ham ne qurbatoñ kī burūdat ḳharīd lī
din meñ hai koī kaam na hai raat koī kaam
kar kar ke chāplūsiyāñ fursat ḳharīd lī
iqlīm-e-vaqt ko to na ham fat.h kar sake
furqat kī ulTā ham ne hazīmat ḳharīd lī
dil bech ke jo hum ne mohabbat KHarid li
ab sochte hain kya ye musibat KHarid li
ai 'ishq jab se rakkha tere dasht mein qadam
'izzat ganwai aur malamat KHarid li
sab yaad tujh ko karte hain majnun ke nam se
ai qais tu ne kaisi ye shohrat KHarid li
badle mein ek dane ke jannat ko chhoD kar
duniya ki chaar din ki sukunat KHarid li
un ki tapish ne aur bhi jhulsa ke rakh diya
jab hum ne qurbaton ki burudat KHarid li
din mein hai koi kaam na hai raat koi kaam
kar kar ke chaplusiyan fursat KHarid li
iqlim-e-waqt ko to na hum fath kar sake
furqat ki ulTa hum ne hazimat KHarid li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.