dil bhi auron ko qarib-e-rag-e-jaan chahta hai
dil bhī auroñ ko qarīb-e-rag-e-jāñ chāhtā hai
tū bhī pahle kī tarah mujh ko kahāñ chāhtā hai
barsar-e-teġh-e-sitam ham ne hī e'lān kiyā
sar vahī sar hai jo bas nok-e-sināñ chāhtā hai
ham nahīñ haiñ tujhe siine se lagāne pe ba-zid
bas ragoñ kā ye lahū sail-e-ravāñ chāhtā hai
dil ko pahle se bhī aaseb sā kuchh rahtā thā
phir se jalvoñ kā tire barq-e-tapāñ chāhtā hai
maiñ ki maddham kiye baiThā huuñ sabhī dāġh-e-jigar
aur tū ātish-e-vahshat kā dhuāñ chāhtā hai
ab bahut dasht-navardī huī 'āsif' sāhib
ab badan maut kī āvāz pe haañ chāhtā hai
dil bhi auron ko qarib-e-rag-e-jaan chahta hai
tu bhi pahle ki tarah mujh ko kahan chahta hai
barsar-e-tegh-e-sitam hum ne hi e'lan kiya
sar wahi sar hai jo bas nok-e-sinan chahta hai
hum nahin hain tujhe sine se lagane pe ba-zid
bas ragon ka ye lahu sail-e-rawan chahta hai
dil ko pahle se bhi aaseb sa kuchh rahta tha
phir se jalwon ka tere barq-e-tapan chahta hai
main ki maddham kiye baiTha hun sabhi dagh-e-jigar
aur tu aatish-e-wahshat ka dhuan chahta hai
ab bahut dasht-nawardi hui 'asif' sahib
ab badan maut ki aawaz pe han chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.