dil dhaDakta hai to sab zer-o-zabar lagta hai
dil dhaḌaktā hai to sab zer-o-zabar lagtā hai
itnī shiddat hai añdhere meñ ki Dar lagtā hai
lamhe-lamhe se banī hai ye zamāne kī kitāb
nuqta nuqta yahāñ sadiyoñ kā safar lagtā hai
ye mirā shahr ki jiine nahīñ detā mujh ko
ab tirā naam bhī lete hue Dar lagtā hai
raat kartī hai sitāroñ se mirā ghar tā'mīr
sub.h hotī hai to dīvār na dar lagtā hai
itnā āsāñ nahīñ lafzoñ ko ġhazal kar lenā
shor ko she'r banāne meñ jigar lagtā hai
dil dhaDakta hai to sab zer-o-zabar lagta hai
itni shiddat hai andhere mein ki Dar lagta hai
lamhe-lamhe se bani hai ye zamane ki kitab
nuqta nuqta yahan sadiyon ka safar lagta hai
ye mera shahr ki jine nahin deta mujh ko
ab tera nam bhi lete hue Dar lagta hai
raat karti hai sitaron se mera ghar ta'mir
subh hoti hai to diwar na dar lagta hai
itna aasan nahin lafzon ko ghazal kar lena
shor ko she'r banane mein jigar lagta hai
- Book : Ishq (Pg. 82)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.