Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha

Nabeel Ahmad Nabeel

dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    dil dhaḌkanoñ meñ jaise dhaḌaktā usī thā

    jaise mire vajūd pe chehra usī thā

    rakhā huā thā jis ko zamāne se duur duur

    har lab pe us tazkira charchā usī thā

    aane diyā na chain kabhī ek pal mujhe

    mere tasavvurāt meñ dhaḌkā usī thā

    jis ne tamām shahr khañDar meñ badal diyā

    sikka tamām shahr meñ chaltā usī thā

    yuuñ to hazār zaḳhm mujhe aur bhī lage

    lekin jo zaḳhm sab se thā gahrā usī thā

    shiddat pyaas ne mujhe gherā to ye khulā

    sahrā jo makīn thā dariyā usī thā

    ham ko hai aaj tak usī ta.abīr talab

    aayā thā kal 'nabīl' jo sapnā usī thā

    raushan thā jis charāġh lau se badan 'nabīl'

    mujh ko tamām-umr dhaḌkā usī thā

    dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha

    jaise mere wajud pe chehra usi ka tha

    rakha hua tha jis ko zamane se dur dur

    har lab pe us ka tazkira charcha usi ka tha

    aane diya na chain kabhi ek pal mujhe

    mere tasawwuraat mein dhaDka usi ka tha

    jis ne tamam shahr khanDar mein badal diya

    sikka tamam shahr mein chalta usi ka tha

    yun to hazar zaKHm mujhe aur bhi lage

    lekin jo zaKHm sab se tha gahra usi ka tha

    shiddat ki pyas ne mujhe ghera to ye khula

    sahra ka jo makin tha dariya usi ka tha

    hum ko hai aaj tak usi tabir ki talab

    aaya tha kal 'nabil' jo sapna usi ka tha

    raushan tha jis charagh ki lau se badan 'nabil'

    mujh ko tamam-umr hi dhaDka usi ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now