dil gali mein teri ja kar bhi pareshan tha kya
dil galī meñ tirī jā kar bhī pareshān thā kyā
us se aage kahīñ jaane kā bhī imkān thā kyā
ham ko aanā thā galī meñ tirī so aa ga.e ham
ahl-e-duniyā se hamārā koī paimān thā kyā
faqr kī mujh se zamāne ko tavaqqo' thī fuzūl
maiñ shikam-banda koī būzar-o-salmān thā kyā
bujh ga.e saare diye bād-e-havādis se jahāñ
maiñ na bujhtā to charāġh-e-tah-e-dāmāñ thā kyā
ham to muflis the magar ahl-e-havas ke liye bhī
qad-o-gesū ke 'alāva sar-o-sāmān thā kyā
kyā 'ajab tum meñ jo karte rahe ġhārat-garī log
kishvar-e-tan kā tumhārā koī sultān thā kyā
kār-e-ulfat meñ bhī qaa.il haiñ musāvāt ke ham
us ne ham se jo nibhāyā to kuchh ehsān thā kyā
vo to kahiye ki vo aa hī gayā kal shab varna
lailatul-qadr kā milnā koī āsān thā kyā
tū jo kahtā hī rahā husn ko kāfir 'najmī'
sach batā 'ishq tirā sāhib-e-īmān thā kyā
dil gali mein teri ja kar bhi pareshan tha kya
us se aage kahin jaane ka bhi imkan tha kya
hum ko aana tha gali mein teri so aa gae hum
ahl-e-duniya se hamara koi paiman tha kya
faqr ki mujh se zamane ko tawaqqo' thi fuzul
main shikam-banda koi buzar-o-salman tha kya
bujh gae sare diye baad-e-hawadis se jahan
main na bujhta to charagh-e-tah-e-daman tha kya
hum to muflis the magar ahl-e-hawas ke liye bhi
qad-o-gesu ke 'alawa sar-o-saman tha kya
kya 'ajab tum mein jo karte rahe ghaarat-gari log
kishwar-e-tan ka tumhaara koi sultan tha kya
kar-e-ulfat mein bhi qail hain musawat ke hum
us ne hum se jo nibhaya to kuchh ehsan tha kya
wo to kahiye ki wo aa hi gaya kal shab warna
lailatul-qadr ka milna koi aasan tha kya
tu jo kahta hi raha husn ko kafir 'najmi'
sach bata 'ishq tera sahib-e-iman tha kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.