Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang

Sahir Dehlavi

dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang

Sahir Dehlavi

MORE BYSahir Dehlavi

    dil hai bahr-e-be-karāñ dil umañg

    chaar mauj chaar hai chaar rañg

    mauj-e-avval hai juz-o-kul meñ muhīt

    sar-ba-sar kibr-o-minā rañg-Dhañg

    hai tasavvur doyamī mauj-e-ḳhayāl

    farsh se tā-arsh jis hai tarañg

    soyamī hai aql mahdūd-o-salīm

    mānte haiñ jis lohā sab dabañg

    dil hai mauj-e-chahārum vāhima

    dam-ba-dam jis anokhī hai umañg

    chaar dāñg-e-ālam-e-ījād meñ

    chaar maujeñ haiñ baham aur ḳhāna-jañg

    jaan tahrīk se hai sab numūd

    ḳhvāh dil hai ḳhvāh hai dil umañg

    haiñ isī tahrīk meñ āḳhir fanā

    sham.a lau meñ fanā jaise patañg

    aql saiqal se ho jaatā hai paak

    dil ke ā.īne ko jab lagtā hai zañg

    ilm meñ hai hastī-e-dil be-sabāt

    jaise 'sāhir' āb-e-dariyā meñ tarañg

    dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang

    chaar mauj chaar su hai chaar rang

    mauj-e-awwal hai juz-o-kul mein muhit

    sar-ba-sar kibr-o-mina ka rang-Dhang

    hai tasawwur doyami mauj-e-KHayal

    farsh se ta-arsh jis ki hai tarang

    soyami hai aql mahdud-o-salim

    mante hain jis ka loha sab dabang

    dil ki hai mauj-e-chahaarum wahima

    dam-ba-dam jis ki anokhi hai umang

    chaar dang-e-alam-e-ijad mein

    chaar maujen hain baham aur KHana-jang

    jaan ki tahrik se hai sab numud

    KHwah dil hai KHwah hai dil ki umang

    hain isi tahrik mein aaKHir fana

    shama ki lau mein fana jaise patang

    aql ki saiqal se ho jata hai pak

    dil ke aaine ko jab lagta hai zang

    ilm mein hai hasti-e-dil be-sabaat

    jaise 'sahir' aab-e-dariya mein tarang

    Source:

    Deewan-e-Sahir( Kufr-e-Ishq) (Pg. ebook-117 page-64)

    • Author: Sahir Dehlavi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Imperial Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now