dil hai mamur tere gham ki nigahbani par
dil hai māmūr tire ġham kī nigahbānī par
koī mushkil na paḌe ab mirī āsānī par
maiñ idhar likhtā udhar miTtā chalā jaatā thā
phir bhī kuchh soch ke maiñ likhtā rahā paanī par
ab vo manzar hī kahāñ jo mujhe hairān kare
maiñ to hairān huuñ bas aap kī hairānī par
in lakīroñ meñ to ahvāl chhupā hai merā
ye lakīreñ jo paḌī haiñ mirī peshānī par
dasht se bhāgā huā raat kā huuñ jaagā huā
tabsira kyā karūñ is shahr kī vīrānī par
rāsta vo hai ki ḳhud apnā bhī chalnā mushkil
shukr kartā huuñ maiñ is be-sar-o-sāmānī par
jab talak aañkh meñ aañsū the maiñ royā 'ġhā.er'
ab to jī khol ke hañstā huuñ pareshānī par
dil hai mamur tere gham ki nigahbani par
koi mushkil na paDe ab meri aasani par
main idhar likhta udhar miTta chala jata tha
phir bhi kuchh soch ke main likhta raha pani par
ab wo manzar hi kahan jo mujhe hairan kare
main to hairan hun bas aap ki hairani par
in lakiron mein to ahwal chhupa hai mera
ye lakiren jo paDi hain meri peshani par
dasht se bhaga hua raat ka hun jaga hua
tabsira kya karun is shahr ki virani par
rasta wo hai ki KHud apna bhi chalna mushkil
shukr karta hun main is be-sar-o-samani par
jab talak aankh mein aansu the main roya 'ghaer'
ab to ji khol ke hansta hun pareshani par
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 37)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.