dil ho ya ki ghar arshi jab basana paDta hai
dil ho yā ki ghar 'arshī' jab basānā paḌtā hai
ik na.e tarīqe se sab sajānā paḌtā hai
nit-na.e taqāzoñ se toḌ-phoḌ hotī hai
kuchh bachānā paḌtā hai kuchh girānā paḌtā hai
sab purāne baksoñ kī jhāḌ-poñchh hotī hai
ḳhat rumāl tasvīreñ sab jalānā paḌtā hai
rābte guzashta ke be-mahal se lagte haiñ
be-mahal ravābit ko bhuul jaanā paḌtā hai
aane vaalī ḳhushiyoñ meñ pichhle ġham sisakte haiñ
kuchh nayā jo paanā ho kuchh gañvānā paḌtā hai
sab ke sab ga.e mausam yaad bante jaate haiñ
aur biich meñ 'arshī' ik zamāna paḌtā hai
dil ho ya ki ghar 'arshi' jab basana paDta hai
ek nae tariqe se sab sajaana paDta hai
nit-nae taqazon se toD-phoD hoti hai
kuchh bachana paDta hai kuchh girana paDta hai
sab purane bakson ki jhaD-ponchh hoti hai
KHat rumal taswiren sab jalana paDta hai
rabte guzashta ke be-mahal se lagte hain
be-mahal rawabit ko bhul jaana paDta hai
aane wali KHushiyon mein pichhle gham sisakte hain
kuchh naya jo pana ho kuchh ganwana paDta hai
sab ke sab gae mausam yaad bante jate hain
aur bich mein 'arshi' ek zamana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.