dil ishq mein bechain bas apna hi nahin hai
dil 'ishq meñ bechain bas apnā hī nahīñ hai
is rah meñ sukūñ dosto miltā hī nahīñ hai
ham laa.eñ misāl us kī to laa.eñ bhī kahāñ se
us jaisā hasīñ ham ne to dekhā hī nahīñ hai
bigḌe na na.ī nasl bhalā kaise batāo
jab tum ne ġhalat raah se rokā hī nahīñ hai
ham dost use apnā banā.eñ bhī to kaise
ġhairoñ kā vo kyā hogā jo apnā hī nahīñ hai
rozī ke liye kyoñ na bhaTakte phireñ bachche
kyā kaam kareñ haath meñ paisa hī nahīñ hai
duniyā meñ kareñ kis se ab ummīd hayā kī
jab sharm-o-hayā kā kahīñ pardā hī nahīñ hai
rotā hai jahāñ merī tabāhī pe abhī tak
aur aap ye kahte haiñ ki charchā hī nahīñ hai
jo aap kī marzī hai kiye jaao vahī kaam
maiñ ne to kabhī aap ko rokā hī nahīñ hai
ḳhud-ġharz huā itnā 'sho.eb' aaj kā insāñ
jaise ki kisī se koī rishta hī nahīñ hai
dil 'ishq mein bechain bas apna hi nahin hai
is rah mein sukun dosto milta hi nahin hai
hum laen misal us ki to laen bhi kahan se
us jaisa hasin hum ne to dekha hi nahin hai
bigDe na nai nasl bhala kaise batao
jab tum ne ghalat rah se roka hi nahin hai
hum dost use apna banaen bhi to kaise
ghairon ka wo kya hoga jo apna hi nahin hai
rozi ke liye kyon na bhaTakte phiren bachche
kya kaam karen hath mein paisa hi nahin hai
duniya mein karen kis se ab ummid haya ki
jab sharm-o-haya ka kahin parda hi nahin hai
rota hai jahan meri tabahi pe abhi tak
aur aap ye kahte hain ki charcha hi nahin hai
jo aap ki marzi hai kiye jao wahi kaam
main ne to kabhi aap ko roka hi nahin hai
KHud-gharz hua itna 'shoeb' aaj ka insan
jaise ki kisi se koi rishta hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.