dil jahan hai agar wahan na rahe
dil jahāñ hai agar vahāñ na rahe
phir na jaane kahāñ kahāñ na rahe
ghar rahe aur sā.ebāñ na rahe
aisā hotā to hai jo maañ na rahe
lauT jaane ko jī nahīñ chāhe
duniyā aisī to mezbāñ na rahe
ham bhī jab mehrbāñ kisī pe nahīñ
koī bhī ham pe mehrbāñ na rahe
fāsla hī baḌhā liyā itnā
kaise ab koī darmiyāñ na rahe
kaun pursān-e-hāl hai apnā
dil ko ummīd-e-rā.egāñ na rahe
ġhair ke sā.ebāñ meñ jā.egā
apne ghar meñ agar amaañ na rahe
baat jab hai 'sabā' ho auj-e-kamāl
choT deñ yuuñ zarā nishāñ na rahe
dil jahan hai agar wahan na rahe
phir na jaane kahan kahan na rahe
ghar rahe aur saeban na rahe
aisa hota to hai jo man na rahe
lauT jaane ko ji nahin chahe
duniya aisi to mezban na rahe
hum bhi jab mehrban kisi pe nahin
koi bhi hum pe mehrban na rahe
fasla hi baDha liya itna
kaise ab koi darmiyan na rahe
kaun pursan-e-haal hai apna
dil ko ummid-e-raegan na rahe
ghair ke saeban mein jaega
apne ghar mein agar aman na rahe
baat jab hai 'saba' ho auj-e-kamal
choT den yun zara nishan na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.