Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-jhil mein phenka hai teri yaad ne patthar

Nusrat Siddiqui

dil-jhil mein phenka hai teri yaad ne patthar

Nusrat Siddiqui

MORE BYNusrat Siddiqui

    dil-jhīl meñ pheñkā hai tirī yaad ne patthar

    sar se na guzar jaa.e koī mauj ubhar kar

    ye phuul se ruḳh sarv se qad chāñd se paikar

    halchal machā dete haiñ jazbāt ke andar

    kuchh aur sitam aur sitam ai ġham-e-daurāñ

    khulte haiñ baḌī der meñ insān ke jauhar

    paas bhī itnā ki tujhe dekh na pā.ūñ

    duur bhī itnā ki mirī soch se bāhar

    maiñ kaun manzil ke liye garm-e-safar huuñ

    chaltā nahīñ koī bhī mire naqsh-e-qadam par

    ik ki tirā ek rishta hai jahāñ meñ

    ik maiñ ki mire saiñkaḌoñ rishte haiñ zamīñ par

    insāñ safar sū-e-qamar ḳhuub hai lekin

    fitne na uThā.e ye kahīñ chāñd meñ kar

    ai sub.h-e-tarab aa mirī āñkhoñ meñ samā

    maġhmūm na kar jaa.eñ tujhe shaam ke manzar

    kab tak vo kirā.e ke makānoñ meñ raheñge

    'nusrat' jo banā sakte nahīñ apne liye ghar

    dil-jhil mein phenka hai teri yaad ne patthar

    sar se na guzar jae koi mauj ubhar kar

    ye phul se ruKH sarw se qad chand se paikar

    halchal si macha dete hain jazbaat ke andar

    kuchh aur sitam aur sitam ai gham-e-dauran

    khulte hain baDi der mein insan ke jauhar

    tu pas bhi itna ki tujhe dekh na paun

    tu dur bhi itna ki meri soch se bahar

    main kaun si manzil ke liye garm-e-safar hun

    chalta nahin koi bhi mere naqsh-e-qadam par

    ek tu ki tera ek hi rishta hai jahan mein

    ek main ki mere sainkaDon rishte hain zamin par

    insan ka safar su-e-qamar KHub hai lekin

    fitne na uThae ye kahin chand mein ja kar

    ai subh-e-tarab aa meri aankhon mein sama ja

    maghmum na kar jaen tujhe sham ke manzar

    kab tak wo kirae ke makanon mein rahenge

    'nusrat' jo bana sakte nahin apne liye ghar

    Source:

    Lamha-e-Maujood (Pg. 103)

    • Author: Nusrat Siddiqui
      • Publisher: Hatim Bhatti
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now