dil kahan lagta hai ab mera bhi mere ganw mein
dil kahāñ lagtā hai ab merā bhī mere gaañv meñ
khīñch laayā 'ishq terā mujh ko tere paañv meñ
chhīn kar tum ko na le jaa.e yahāñ se koī bhī
is liye rahne lagā huuñ aa ke maiñ sahrāoñ meñ
shahr kī bas raushnī ne mujh ko andhā kar diyā
varna kyā kyā kuchh nahīñ thā mere puure gaañv meñ
koshisheñ sab ne bahut kī qaid karne kī mujhe
par phañsā maiñ bhī nahīñ un ke kisī bhī daañv meñ
ik lakaḌ-hārā ye bolā peḌ saare kaaT kar
kaash maiñ bhī baiTh paatā ab kisī kī chhāoñ meñ
dekhe jab 'zīshān' ke aage qadam baḌhte hue
Daal dī zanjīr mil kar sab ne us ke paañv meñ
dil kahan lagta hai ab mera bhi mere ganw mein
khinch laya 'ishq tera mujh ko tere panw mein
chhin kar tum ko na le jae yahan se koi bhi
is liye rahne laga hun aa ke main sahraon mein
shahr ki bas raushni ne mujh ko andha kar diya
warna kya kya kuchh nahin tha mere pure ganw mein
koshishen sab ne bahut ki qaid karne ki mujhe
par phansa main bhi nahin un ke kisi bhi danw mein
ek lakaD-haara ye bola peD sare kaT kar
kash main bhi baiTh pata ab kisi ki chhaon mein
dekhe jab 'zishan' ke aage qadam baDhte hue
Dal di zanjir mil kar sab ne us ke panw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.