aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua

Raziya Faseeh Ahmad

dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua

Raziya Faseeh Ahmad

MORE BYRaziya Faseeh Ahmad

    dil ke dard ke kam hone tanhā kuchh sāmān huā

    ham bhī ab kai din leñge is bhī imkān huā

    ek diye lau ne saarā shahr jalā kar ḳhaak kiyā

    ek havā jhoñkā ban kar āñdhī aur tūfān huā

    ārzuoñ nīchī saañs ne us dar par dastak

    aur junūñ ik ik lamha mere ghar mehmān huā

    vaqt kaTnā us se pūchho hijr meñ jis guzrī ho

    ek ik lamha ek sadī thā kab ham par āsān huā

    koī kisī miit nahīñ hai duniyā kahtī aa.ī hai

    ham ne jis ko apnā jaanā vaqt pe vo anjān huā

    'ishq uḌānoñ dushman hai kyā us ko mā'lūm na thā

    dil panchhī qaid meñ aa kar kyuuñ itnā hairān huā

    tanhā un gul-afshānī kuchh na pūchho kaisī hai

    jab bhī hazrat-e-vā'iz bole sab halkān huā

    dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua

    hum bhi ab kai din ji lenge is ka bhi imkan hua

    ek diye ki lau ne sara shahr jala kar KHak kiya

    ek hawa ka jhonka ban kar aandhi aur tufan hua

    aarzuon ki nichi sans ne us dar par dastak di

    aur junun ka ek ek lamha mere ghar mehman hua

    waqt ka kaTna us se puchho hijr mein jis ki guzri ho

    ek ek lamha ek sadi tha kab hum par aasan hua

    koi kisi ka mit nahin hai duniya kahti aai hai

    hum ne jis ko apna jaana waqt pe wo anjaan hua

    'ishq uDanon ka dushman hai kya us ko ma'lum na tha

    dil ka panchhi qaid mein aa kar kyun itna hairan hua

    tanha un ki gul-afshani kuchh na puchho kaisi hai

    jab bhi hazrat-e-wa'iz bole sab ka ji halkan hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now