dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin

Noor Bijnauri

dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin

Noor Bijnauri

MORE BYNoor Bijnauri

  dil ke sahrā meñ koī aas jugnū bhī nahīñ

  itnā royā huuñ ki ab aañkh meñ aañsū bhī nahīñ

  itnī be-rahm na thī ziist dopahr kabhī

  in ḳharāboñ meñ kahīñ sāya-e-gesū bhī nahīñ

  kāsa-e-dard liye phirtī hai gulshan havā

  mere dāman meñ tire pyaar ḳhushbū bhī nahīñ

  chhin gayā merī nigāhoñ se bhī ehsās-e-jamāl

  terī tasvīr meñ pahlā vo jaadū bhī nahīñ

  mauj-dar-mauj tire ġham shafaq khiltī hai

  mujh ko is silsila-e-rañg pe qaabū bhī nahīñ

  dil vo kam-baḳht ki dhaḌke chalā jaatā hai

  ye alag baat ki zīnat-e-pahlū bhī nahīñ

  ye ajab rāhguzar hai ki chaTāneñ to bahut

  aur sahāre ko tirī yaad ke baazū bhī nahīñ

  hādisa ye bhī guzartā thā mirī jaañ ham par

  paikar-e-sañg haiñ do, maiñ bhī nahīñ bhī nahīñ

  dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin

  itna roya hun ki ab aankh mein aansu bhi nahin

  itni be-rahm na thi zist ki dopahr kabhi

  in KHarabon mein kahin saya-e-gesu bhi nahin

  kasa-e-dard liye phirti hai gulshan ki hawa

  mere daman mein tere pyar ki KHushbu bhi nahin

  chhin gaya meri nigahon se bhi ehsas-e-jamal

  teri taswir mein pahla sa wo jadu bhi nahin

  mauj-dar-mauj tere gham ki shafaq khilti hai

  mujh ko is silsila-e-rang pe qabu bhi nahin

  dil wo kam-baKHt ki dhaDke hi chala jata hai

  ye alag baat ki tu zinat-e-pahlu bhi nahin

  ye ajab rahguzar hai ki chaTanen to bahut

  aur sahaare ko teri yaad ke bazu bhi nahin

  hadisa ye bhi guzarta tha meri jaan hum par

  paikar-e-sang hain do, main bhi nahin tu bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY