Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak

Azad Gulati

dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    dil ke sahrā par dete haiñ jab ashkoñ ke sāgar dastak

    ruuh ke sannāTe meñ suntā huuñ maiñ andar bāhar dastak

    ab tak har shab sote sote chauñk uThtā huuñ tanhā.ī meñ

    muddat biitī maiñ ne sunī thī ik shab apne dar par dastak

    shaam Dhaltā sūraj duur ufuq par Thahrā soch rahā hai

    kab shab biite aur vo de phir sub.h ke darvāze par dastak

    bhīgī shab ke sannāTe meñ aise is dhyān aatā hai

    jaise kisī tālāb ke paanī par detā hai kañkar dastak

    ab tak zehn pe mañDlātī hai dukh piilī shaam salonī

    dil meñ aas nirās uljhan maiñ tanhā is dar dastak

    abhī to ummīdoñ ne shīsh mahal meñ rahne sochī thī

    abhī se kyoñ dete haiñ dar par mahrūmī ke patthar dastak

    tan ḳhālī bartan chhan se baj uThThā āzād jab us ne

    is par ik shab de pahan kar ik ḳhvāhish jhāñjhar dastak

    dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak

    ruh ke sannaTe mein sunta hun main andar bahar dastak

    ab tak har shab sote sote chaunk uThta hun tanhai mein

    muddat biti main ne suni thi ek shab apne dar par dastak

    sham ka Dhalta suraj dur ufuq par Thahra soch raha hai

    kab shab bite aur wo de phir subh ke darwaze par dastak

    bhigi shab ke sannaTe mein aise is ka dhyan aata hai

    jaise kisi talab ke pani par deta hai kankar dastak

    ab tak zehn pe manDlati hai dukh si pili sham saloni

    dil mein aas niras ki uljhan main tanha is ka dar dastak

    abhi to ummidon ne shish mahal mein rahne ki sochi thi

    abhi se kyon dete hain dar par mahrumi ke patthar dastak

    tan ka KHali bartan chhan se baj uThTha aazad jab us ne

    is par ek shab de di pahan kar ek KHwahish ki jhanjhar dastak

    Source:

    1970 Ki Muntakhab Shairi (Pg. 82)

      • Publisher: P. K. Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now