dil ke tarik jaziron mein jali tanhai
dil ke tārīk jazīroñ meñ jalī tanhā.ī
raat gahrī thī bahut aur ghanī tanhā.ī
phir vahī zabt kī hiddat hai vahī betābi
phir vahī dard kī shiddat hai vahī tanhā.ī
har qadam raah meñ milte haiñ shanāsā chehre
har qadam raah meñ miltī hai na.ī tanhā.ī
sarsarāte hue lamhoñ ke siyah ġhāroñ meñ
jaane kyā DhūñDtī rahtī hai mirī tanhā.ī
aur kyā chāhiye is dil ko dhaḌakne ke liye
ik tirā naam tirī shaam tirī tanhā.ī
dil ke tarik jaziron mein jali tanhai
raat gahri thi bahut aur ghani tanhai
phir wahi zabt ki hiddat hai wahi betabi
phir wahi dard ki shiddat hai wahi tanhai
har qadam rah mein milte hain shanasa chehre
har qadam rah mein milti hai nai tanhai
sarsaraate hue lamhon ke siyah ghaaron mein
jaane kya DhunDti rahti hai meri tanhai
aur kya chahiye is dil ko dhaDakne ke liye
ek tera nam teri sham teri tanhai
- Book : Ishq (Pg. 109)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.