Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile

Manzar Naqvi

dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile

Manzar Naqvi

MORE BYManzar Naqvi

    dil ke vīrāne meñ kuchh phuul tamannā ke khile

    ham bujhe log tire baaġh meñ aa ke khile

    mausam-e-ishq bārish meñ nahā.e itnā

    ham kisī chashm-e-tasavvur meñ bhī murjhā ke khile

    aarzū hai mire marqad pe uge band kalī

    jab aa.e to tire shauq meñ lahrā ke khule

    dasht meñ shor ḳhamoshī sunā hai maiñ ne

    aable paañv ke so.e hue ghabrā ke khule

    mausam-e-dard āñdhī meñ tirī yaad aa.ī

    ham to hijrat meñ bhī manzar tujhe chamkā ke khule

    dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile

    hum bujhe log tere bagh mein aa ja ke khile

    mausam-e-ishq ki barish mein nahae itna

    hum kisi chashm-e-tasawwur mein bhi murjha ke khile

    aarzu hai mere marqad pe uge band kali

    tu jab aae to tere shauq mein lahra ke khule

    dasht mein shor KHamoshi ka suna hai main ne

    aable panw ke soe hue ghabra ke khule

    mausam-e-dard ki aandhi mein teri yaad aai

    hum to hijrat mein bhi manzar tujhe chamka ke khule

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now