dil KHugar-e-gham aur lab-e-fariyaad hai KHamosh
dil ḳhūgar-e-ġham aur lab-e-fariyād hai ḳhāmosh
ai vaa.e sitam ab sitam-ījād hai ḳhāmosh
kis muñh se ho mahrūmī-e-qismat kī shikāyat
ik aah thī vo bhī dam-e-fariyād hai ḳhāmosh
pāmāl-e-mohabbat huuñ na samjhegā zamāna
yuuñ sūrat-e-shabnam mirī uftād hai ḳhāmosh
kyā nāla-e-ġham meñ hai tire murġh-e-giraftār
kyoñ shikva-e-bedād pe sayyād hai ḳhāmosh
rahtī thī nazar jis kī ruḳh-e-lāla-o-gul par
goshe meñ qafas ke vo chaman-zād hai ḳhāmosh
kartā thā 'nazar' soz-e-jigar se jo charāġhāñ
'arsa huā vo banda-e-bedād hai ḳhāmosh
dil KHugar-e-gham aur lab-e-fariyaad hai KHamosh
ai wae sitam ab sitam-ijad hai KHamosh
kis munh se ho mahrumi-e-qismat ki shikayat
ek aah thi wo bhi dam-e-fariyaad hai KHamosh
pamal-e-mohabbat hun na samjhega zamana
yun surat-e-shabnam meri uftad hai KHamosh
kya nala-e-gham mein hai tere murgh-e-giraftar
kyon shikwa-e-bedad pe sayyaad hai KHamosh
rahti thi nazar jis ki ruKH-e-lala-o-gul par
goshe mein qafas ke wo chaman-zad hai KHamosh
karta tha 'nazar' soz-e-jigar se jo charaghan
'arsa hua wo banda-e-bedad hai KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.