dil ki haalat sanbhal gai hai ab
dil kī hālat sañbhal ga.ī hai ab
yaad aage nikal ga.ī hai ab
kal to shāmil thā merī qismat meñ
merī qismat badal ga.ī hai ab
vo mirā haal tum se pūchhe to
us se kahnā sañbhal ga.ī hai ab
terī yādeñ thiiñ barf ke mānind
barf puurī pighal ga.ī hai ab
log sahrā kī samt bhāgeñge
shahr meñ aag jal ga.ī hai ab
aag rangoñ kī bujh ga.ī yā'nī
merī tasvīr jal ga.ī hai ab
dil ki haalat sanbhal gai hai ab
yaad aage nikal gai hai ab
kal to shamil tha meri qismat mein
meri qismat badal gai hai ab
wo mera haal tum se puchhe to
us se kahna sanbhal gai hai ab
teri yaaden thin barf ke manind
barf puri pighal gai hai ab
log sahra ki samt bhagenge
shahr mein aag jal gai hai ab
aag rangon ki bujh gai ya'ni
meri taswir jal gai hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.