dil ko chhedegi pari-ru teri chitwan kab tak
dil ko chhedegī parī-rū tirī chitvan kab tak
tīr-e-nazzāra chaleñge pas-e-rauzan kab tak
raḳhna-sāzī nahīñ kartī hai vo chitvan kab tak
dekheñ rahte haiñ yūñhīñ band ye rauzan kab tak
āfateñ Dhā.eñge ye jaan ke dushman kab tak
qāfile lūTeñge in āñkhoñ ke rahzan kab tak
rone ko aa.ī hai mehmān hai ik raat kī ye
sham.a marqad pe rahegī mire raushan kab tak
mausam-e-gul hai havā-e-saharī kā jhoñkā
shāḳh-e-gul par tirā bulbul ye nasheman kab tak
zindagī shauq-e-shahādat meñ vabāl-e-jāñ hai
dosh par baar rahegā tirā gardan kab tak
maz.hab-e-ishq meñ ḳhāmī hai ḳhayāl-e-nāmūs
fikr-e-rusvā.ī-o-andesha-e-dushman kab tak
shauq-e-dīdār hai betāb hai dil sūrat-e-barq
hogā tai marhala-e-vādī-e-aiman kab tak
ab to kuchh hosh karo ġhamza-e-bejā chhoḌo
māshā-allāh javāñ ho ye laḌakpan kab tak
kar musalmān unheñ dikhlā ke ruḳh ai but ba-ḳhudā
raheñ zunnār ke phande meñ barahman kab tak
kar bhī de fitna-e-qāmat se kahīñ hashr bapā
taḌpeñ kushte tire qātil tah-e-madfan kab tak
rahm kar haal par ab mere ḳhudārā o turk
ḳham rahe shauq-e-shahādat meñ ye gardan kab tak
nahīñ kartā ruḳh idhar haif humā-e-shamshīr
maiñ bichhā.e rahūñ dām-e-rag-e-gardan kab tak
ham bhī Talte nahīñ ab aap ke dar se tā-hashr
dekhnā to hai girī rahtī hai chilman kab tak
apne apne but-e-pindār ko toḌeñ 'akbar'
yūñhī laḌte raheñge shaiḳh-o-barahman kab tak
dil ko chhedegi pari-ru teri chitwan kab tak
tir-e-nazzara chalenge pas-e-rauzan kab tak
raKHna-sazi nahin karti hai wo chitwan kab tak
dekhen rahte hain yunhin band ye rauzan kab tak
aafaten Dhaenge ye jaan ke dushman kab tak
qafile luTenge in aankhon ke rahzan kab tak
rone ko aai hai mehman hai ek raat ki ye
shama marqad pe rahegi mere raushan kab tak
mausam-e-gul hai hawa-e-sahari ka jhonka
shaKH-e-gul par tera bulbul ye nasheman kab tak
zindagi shauq-e-shahadat mein wabaal-e-jaan hai
dosh par bar rahega tera gardan kab tak
mazhab-e-ishq mein KHami hai KHayal-e-namus
fikr-e-ruswai-o-andesha-e-dushman kab tak
shauq-e-didar hai betab hai dil surat-e-barq
hoga tai marhala-e-wadi-e-aiman kab tak
ab to kuchh hosh karo ghamza-e-beja chhoDo
masha-allah jawan ho ye laDakpan kab tak
kar musalman unhen dikhla ke ruKH ai but ba-KHuda
rahen zunnar ke phande mein barahman kab tak
kar bhi de fitna-e-qamat se kahin hashr bapa
taDpen kushte tere qatil tah-e-madfan kab tak
rahm kar haal par ab mere KHudara o turk
KHam rahe shauq-e-shahadat mein ye gardan kab tak
nahin karta ruKH idhar haif huma-e-shamshir
main bichhae rahun dam-e-rag-e-gardan kab tak
hum bhi Talte nahin ab aap ke dar se ta-hashr
dekhna to hai giri rahti hai chilman kab tak
apne apne but-e-pindar ko toDen 'akbar'
yunhi laDte rahenge shaiKH-o-barahman kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.