dil ko jo be-qarar karte hain
dil ko jo be-qarār karte haiñ
shab meñ taare shumār karte haiñ
jo nahīñ e'tibār ke qābil
un pe ham e'tibār karte haiñ
apne dil ko pasand jo aa.e
un se bāteñ hazār karte haiñ
jo haiñ dushman ke dost un ko ham
dushmanoñ meñ shumār karte haiñ
qatl karte nahīñ haiñ ḳhanjar se
ham nigāhoñ se vaar karte haiñ
jin ko mehnat pe hai yaqīñ logo
vo ḳhizāñ ko bahār karte haiñ
jin kā lahja hai talḳh vo 'mehrū'
dil ke TukḌe hazār karte haiñ
dil ko jo be-qarar karte hain
shab mein tare shumar karte hain
jo nahin e'tibar ke qabil
un pe hum e'tibar karte hain
apne dil ko pasand jo aae
un se baaten hazar karte hain
jo hain dushman ke dost un ko hum
dushmanon mein shumar karte hain
qatl karte nahin hain KHanjar se
hum nigahon se war karte hain
jin ko mehnat pe hai yaqin logo
wo KHizan ko bahaar karte hain
jin ka lahja hai talKH wo 'mehru'
dil ke TukDe hazar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.