dil mein aainda mere ye be-qarari ho na ho
dil meñ ā.inda mire ye be-qarārī ho na ho
aap kā armān phir yuuñ jaañ pe bhārī ho na ho
jī bhī lene de isī lamha mujhe marne bhī de
zindagī ki phir kabhī aisī ḳhumārī ho na ho
ik daf'a uTh kar mirī jānib jhukī hī rah ga.ī
merī bābat us nazar se hukm jaarī ho na ho
aap kī yādeñ rahīñ siine meñ zinda chāhe phir
aap kā dīdār mujh ko 'umr saarī ho na ho
apnā paiġhām-e-judā.ī ḳhud hī maiñ le kar chalūñ
kyūñki qāsid ko ḳhayāl-e-rāzdārī ho na ho
dil mein aainda mere ye be-qarari ho na ho
aap ka arman phir yun jaan pe bhaari ho na ho
ji bhi lene de isi lamha mujhe marne bhi de
zindagi ki phir kabhi aisi KHumari ho na ho
ek daf'a uTh kar meri jaanib jhuki hi rah gai
meri babat us nazar se hukm jari ho na ho
aap ki yaaden rahin sine mein zinda chahe phir
aap ka didar mujh ko 'umr sari ho na ho
apna paigham-e-judai KHud hi main le kar chalun
kyunki qasid ko KHayal-e-raazdari ho na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.