dil mein aaseb-e-tamanna ko chhupane wale
dil meñ āseb-e-tamanna ko chhupāne vaale
saath meñ ro le kabhī mujh ko rulāne vaale
laakh tā'vīz bañdhe ḳhuub du'ā.eñ māñgīñ
magar aa.e hī nahīñ lauT ke aane vaale
kyā guzartī hai mire dil pe judā.ī meñ tirī
tujh ko ehsās bhī hai chhoḌ ke jaane vaale
yaad aate haiñ to aate hī chale jaate haiñ
dil se jaate hī nahīñ dil ko dukhāne vaale
'umr bhar DhūñDte phirte rahe qadmoñ ke nishāñ
mere qadmoñ se qadam apne milāne vaale
zindagī tū ne hameñ chain se jiine na diyā
ab nahīñ ham bhī tire naaz uThāne vaale
merī taqdīr faqat tū hī badal saktā hai
merī taqdīr badal duniyā banāne vaale
dekho kis tarh badal jā.egā ye vaqt kā khel
ḳhud bhī gir jā.eñge auroñ ko girāne vaale
Dūbnā in kā muqaddar thā so Duube varna
tair bhī sakte the ye kashtī banāne vaale
dil mein aaseb-e-tamanna ko chhupane wale
sath mein ro le kabhi mujh ko rulane wale
lakh ta'wiz bandhe KHub du'aen mangin
magar aae hi nahin lauT ke aane wale
kya guzarti hai mere dil pe judai mein teri
tujh ko ehsas bhi hai chhoD ke jaane wale
yaad aate hain to aate hi chale jate hain
dil se jate hi nahin dil ko dukhane wale
'umr bhar DhunDte phirte rahe qadmon ke nishan
mere qadmon se qadam apne milane wale
zindagi tu ne hamein chain se jine na diya
ab nahin hum bhi tere naz uThane wale
meri taqdir faqat tu hi badal sakta hai
meri taqdir badal duniya banane wale
dekho kis tarh badal jaega ye waqt ka khel
KHud bhi gir jaenge auron ko girane wale
Dubna in ka muqaddar tha so Dube warna
tair bhi sakte the ye kashti banane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.