dil mein jab wahshat si paida KHana-virani kare
dil meñ jab vahshat sī paidā ḳhāna-vīrānī kare
aise meñ ābād is dil ko suḳhan-dānī kare
ek ye betāb dil aur us pe yād-e-yār aah
hijr ke ek ek pal ko kitnā tūlānī kare
ab to ye dil kā lahū bhī ḳhushk ho jaane ko hai
ab to koī mo'jiza ye aañkh kā paanī kare
kārobār-e-‘ishq meñ nuqsān-e-jān-o-dil to hai
par yahī nuqsāñ hai jo faanī ko lāfānī kare
ġhair kā har nang to parda hai merī zaat kā
mujh ko paanī paanī merī apnī 'uryānī kare
sun ke 'mīr-anjum’ ko bazm-e-yār meñ sab ne kahā
hai to sīdhā-sāda sā par baat bā-mā'nī kare
dil mein jab wahshat si paida KHana-virani kare
aise mein aabaad is dil ko suKHan-dani kare
ek ye betab dil aur us pe yaad-e-yar aah
hijr ke ek ek pal ko kitna tulani kare
ab to ye dil ka lahu bhi KHushk ho jaane ko hai
ab to koi mo'jiza ye aankh ka pani kare
karobar-e-‘ishq mein nuqsan-e-jaan-o-dil to hai
par yahi nuqsan hai jo fani ko lafani kare
ghair ka har nang to parda hai meri zat ka
mujh ko pani pani meri apni 'uryani kare
sun ke 'mir-anjum’ ko bazm-e-yar mein sab ne kaha
hai to sidha-sada sa par baat ba-ma'ni kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.