dil mein jalte hain hasraton ke alaw
dil meñ jalte haiñ hasratoñ ke alaav
merī āñkhoñ kī raushnī pe na jaao
ik siyah raat hai hamārā vajūd
dekhnā hai to dil kī sham' jalāo
vo alag jin kā zāhir-o-bātin
kah rahe haiñ hameñ naqāb uThāo
mom ho kar pighal ga.e patthar
aaj kī shab jale kuchh aise alaav
ham to apnī sī kar ke haar ga.e
tum hī kuchh baat ban sake to banāo
sham'eñ ātish-bayān hotī haiñ
mere ash'ār sun ke jī na jalāo
daur hai 'sham'' sāf-goī kā
ab haqīqat ko shā'irī na banāo
dil mein jalte hain hasraton ke alaw
meri aankhon ki raushni pe na jao
ek siyah raat hai hamara wajud
dekhna hai to dil ki sham' jalao
wo alag jin ka zahir-o-baatin
kah rahe hain hamein naqab uThao
mom ho kar pighal gae patthar
aaj ki shab jale kuchh aise alaw
hum to apni si kar ke haar gae
tum hi kuchh baat ban sake to banao
sham'en aatish-bayan hoti hain
mere ash'ar sun ke ji na jalao
daur hai 'sham saf-goi ka
ab haqiqat ko sha'iri na banao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.