dil mein kuchh aae jo KHayal nae
dil meñ kuchh aa.e jo ḳhayāl na.e
ham se hote ga.e kamāl na.e
'izzat-e-nafs jaañ se pyārī hai
laakh duniyā bichhā.e jaal na.e
jab bhī ḳhushiyāñ qarīb aatī haiñ
gher lete haiñ kuchh malāl na.e
jabki be-dāġh hai mirā dāman
phir bhī uThne lage savāl na.e
kitnī mushkil se dil sañbhālā hai
vasvase ab na aur Daal na.e
dhaḌkaneñ ab kahāñ mire bas meñ
vo milā hai banā ke haal na.e
kyā kahūñ apnā hāl-e-dil tum se
ġham purāne haiñ aur saal na.e
dil mein kuchh aae jo KHayal nae
hum se hote gae kamal nae
'izzat-e-nafs jaan se pyari hai
lakh duniya bichhae jal nae
jab bhi KHushiyan qarib aati hain
gher lete hain kuchh malal nae
jabki be-dagh hai mera daman
phir bhi uThne lage sawal nae
kitni mushkil se dil sanbhaala hai
waswase ab na aur Dal nae
dhaDkanen ab kahan mere bas mein
wo mila hai bana ke haal nae
kya kahun apna haal-e-dil tum se
gham purane hain aur sal nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.