dil mein rakkha phir yaka-yak be-dayar usne kiya
dil meñ rakkhā phir yakā-yak be-dayār us ne kiyā
aisā mere saath jaane kitnī baar us ne kiyā
dekh kar bhī maiñ ne an-dekhā kiyā kitnī daf'a
aur udhar kānoñ sunī par e'tibār us ne kiyā
chāhtā to maar saktā thā mujhe āsānī se
jaane kyoñ dil par mire qistoñ meñ vaar us ne kiyā
ḳhushk honā āñkhoñ kā achchhā nahīñ lagtā use
is liye āñkhoñ ko merī ābshār us ne kiyā
ham to dīvāne the dīvāne bane rahte 'karan'
be-vafā.ī kar ke ham ko hoshiyār us ne kiyā
dil mein rakkha phir yaka-yak be-dayar us ne kiya
aisa mere sath jaane kitni bar us ne kiya
dekh kar bhi main ne an-dekha kiya kitni daf'a
aur udhar kanon suni par e'tibar us ne kiya
chahta to mar sakta tha mujhe aasani se
jaane kyon dil par mere qiston mein war us ne kiya
KHushk hona aankhon ka achchha nahin lagta use
is liye aankhon ko meri aabshaar us ne kiya
hum to diwane the diwane bane rahte 'karan'
be-wafai kar ke hum ko hoshiyar us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.