dil mein tere be-sabab aabaad ho jaunga main
dil meñ tere be-sabab ābād ho jā.ūñgā maiñ
tū mujhe mat bhuul varna yaad ho jā.ūñgā maiñ
'ishq tujh ko maiñ banā dūñgā bahut āsān hai
bas banāne meñ tujhe barbād ho jā.ūñgā maiñ
ye nahīñ mā'lūm thā jaadū koī chal jā.egā
tujh ko paḌhne meñ tirī rūdād ho jā.ūñgā maiñ
maiñ to hairāñ huuñ ki us ne be-sabab bāñdhā mujhe
ḳhauf us ko ye hai ki āzād ho jā.ūñgā maiñ
tū ye kahtī phir rahī hai tū mirī shīrīñ nahīñ
ab to lāzim hai tirā farhād ho jā.ūñgā maiñ
'ālam-e-fānī meñ mushkil se sunā jā.ūñgā maiñ
jab kisī mazlūm kī fariyād ho jā.ūñgā maiñ
sūrat-e-bulbul vo 'aḳhtar' aayā mere sāmne
us ko ye mā'lūm thā sayyād ho jā.ūñgā maiñ
dil mein tere be-sabab aabaad ho jaunga main
tu mujhe mat bhul warna yaad ho jaunga main
'ishq tujh ko main bana dunga bahut aasan hai
bas banane mein tujhe barbaad ho jaunga main
ye nahin ma'lum tha jadu koi chal jaega
tujh ko paDhne mein teri rudad ho jaunga main
main to hairan hun ki us ne be-sabab bandha mujhe
KHauf us ko ye hai ki aazad ho jaunga main
tu ye kahti phir rahi hai tu meri shirin nahin
ab to lazim hai tera farhad ho jaunga main
'alam-e-fani mein mushkil se suna jaunga main
jab kisi mazlum ki fariyaad ho jaunga main
surat-e-bulbul wo 'aKHtar' aaya mere samne
us ko ye ma'lum tha sayyaad ho jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.