aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke

Mansoor Usmani

dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke

Mansoor Usmani

MORE BYMansoor Usmani

    dil meñ yuuñ pyaar ik taaza kahānī mahke

    jaise āñgan men kahīñ rāt-kī-rānī mahke

    maiñ ne lafzoñ ko kahāñ us taraf moḌā hai

    zikr aa jaa.e jo us to kahānī mahke

    sar se tak use ḳhushbū ḳhazāna kahiye

    baiThe dariyā meñ utar jaa.e to paanī mahke

    ġham sadiyoñ amānat hai ġhazal tahzīb

    'mīr' ke ba.ad usī rañg meñ 'fānī' mahke

    is ko kahte haiñ mohabbat karishma 'mansūr'

    merī ġhazloñ meñ mirā dushman-e-jānī mahke

    dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke

    jaise aangan mein kahin raat-ki-rani mahke

    main ne lafzon ko kahan us ki taraf moDa hai

    zikr aa jae jo us ka to kahani mahke

    sar se pa tak use KHushbu ka KHazana kahiye

    baiThe dariya mein utar jae to pani mahke

    gham ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzib

    'mir' ke baad usi rang mein 'fani' mahke

    is ko kahte hain mohabbat ka karishma 'mansur'

    meri ghazlon mein mera dushman-e-jaani mahke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now