dil mera un pe jo aaya to qaza bhi aai
dil mirā un pe jo aaya to qazā bhī aa.ī
dard ke saath hī saath us kī davā bhī aa.ī
aa.e khole hue bāloñ ko to shoḳhī se kahā
maiñ bhī aaya tire ghar merī balā bhī aa.ī
vā.e-qismat ki mire kufr kī vaq'at na huī
but ko dekhā to mujhe yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
huiiñ āġhāz-e-javānī meñ nigāheñ nīchī
nashsha āñkhoñ meñ jo aaya to hayā bhī aa.ī
Das liyā af'ī-e-shām-e-shab-e-furqat ne mujhe
phir na jāgūñgā agar niiñd zarā bhī aa.ī
dil mera un pe jo aaya to qaza bhi aai
dard ke sath hi sath us ki dawa bhi aai
aae khole hue baalon ko to shoKHi se kaha
main bhi aaya tere ghar meri bala bhi aai
wae-qismat ki mere kufr ki waq'at na hui
but ko dekha to mujhe yaad-e-KHuda bhi aai
huin aaghaz-e-jawani mein nigahen nichi
nashsha aankhon mein jo aaya to haya bhi aai
Das liya af'i-e-sham-e-shab-e-furqat ne mujhe
phir na jagunga agar nind zara bhi aai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 52)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.